tire suluk ka gham sub.h-o-sham kya karte
zara si baat pe jiina haram kya karte
ki be-adab ka bhala ehtiram kya karte
jo nastik tha use ram-ram kya karte
vo koi ‘mir’ hon ‘ghalib’ hon ya ‘anis’-o-‘dabir’
suḳhan-vari se baḌa koi kaam kya karte
na niind ankhon men baaqi na intizar raha
ye haal tha to koi nek kaam kya karte
mizaj men tha takabbur to harkaton men ghurur
phir aise shaḳhs ko ham bhi salam kya karte
‘ra.is’ ḳhu-e-vafa ne hamen rulaya hai
phir is chalan ko bhala ham bhi aam kya karte
Leave a Reply