tire paas rah kar sanvar jaunga main
juda ho ke tujh se bikhar jaunga main
zara sochne de main uthne se pahle
tire dar se uth kar kidhar jaunga main
tire saath jiine ki ummid lekin
tira saath na ho to mar jaunga main
tire pyaar ke saae men chand lamhe
zara ji to luun phir guzar jaunga main
simat kar hi rahne de anchal se tere
tu jhutlae to chashm-e-tar jaunga main
na hargiz chalunga kisi rahguzar se
tu roke agar to thahar jaunga main
tire pyaar men zakhm kha kha ke ik din
ki aghosh-e-gham men utar jaunga main
‘nisar’ ishq ki aag men jal raha huun
pata hai ki ik din nikhar jaunga main
Leave a Reply