tire ḳhayāl se fursat jo umr bhar na huī
kab apne aap se guzre hameñ ḳhabar na huī
nahīñ ki terī tavajjoh kabhī idhar na huī
mujhe savāl kī jur.at hī umr bhar na huī
ba-qaid-e-hosh mohabbat azaab dīda-o-dil
jigar kā ḳhuun to kyā jur.at-e-nazar na huī
sahar ke naam pe bazm-e-nashāt kī barham
charāġh ham ne bujhā.e magar sahar na huī
tajalliyoñ ne diye saiñkaḌoñ fareb magar
asīr-e-dām mirī shoḳhī-e-nazar na huī
ufuq ke paar ujāle haiñ sub.h-e-sādiq ke
ham intizār meñ baiThe rahe sahar na huī
vatan kī ḳhaak se aatī hai bū-e-ḳhūñ paiham
ki paak rāhzanoñ se ye rahguzar na huī