ishq ka bhi qabil hota hai
dard dil ka kafil hota hai
yaad aaya na kar namazon men
mera sajda tavil hota hai
be-vafaon ke zikr men tera
tazkira bar-sabil hota hai
arsa-e-zist tum zara socho
haa.e kitna tavil hota hai
ai shab-e-gham har ek pal tera
mujh ko sadiyan masil hota hai
ashk jo ishq ne bahaya vo
ashiqon ka vakil hota hai
tanha be-chara sa ye mera dil
tere bin ab aliil hota hai
Leave a Reply