bazm-e-rang-o-bu ka huun main razdan tanha
hai miri zamin tanha aur asman tanha
rahravan-e-manzil hi jab bichhaḌ chuke saare
kya karega manzil par mir-e-karvan tanha
rahguzar men yaksui anjuman men tanha.i
ham tire tasavvur men the kahan kahan tanha
zindagi ki rahen ab pur-ḳhatar hain is darja
aap chal nahin sakte do-qadam yahan tanha
zauq-e-bandagi ho to bandagi ko kaafi hain
ik miri jabin tanha tera astan tanha
un se hal-e-dil kahna ai ‘nasir’ lazim hai
ḳhamushi nahin hoti gham ki tarjuman tanha
Leave a Reply