tere dar se na uTha huun na uThunga ai dost
zindagi tere bina ḳhvab hai afsana hai
mudda.a is ke alava nahin kuchh aur mira
tera divana huun dar pe tire miT jaana hai
ai ‘fana’ kahte hain me.araj-e-ibadat us ko
mere har sajde ka hasil dar-e-janana hai
Leave a Reply