tire aage adu ko nama-bar maara to kya maara
na maara jaan se jis dam us ko gar maara to kya maara
agar dil marte apna to kyuun ye zillaten paate
tiri khvahish men zalim ham ne sar maara to kya maara
vo maren qahqaha sun kar miri sina-zani ka haal
idhar maara to kya maara udhar maara to kya maara
tumhare haath to le leta apne haath se haihat
dupatte se jo pahonche bandh kar maara to kya maara
na dekho duur se hi mujh ko in tedhi nigahon se
kisi ko tiir tum ne phenk kar maara to kya maara
saba ye kab jalan hoti jo sham-e-hijr gul hoti
tapancha shama ko vaqt-e-sahar maara to kya maara
hua hai meri rusvai se tere husn ka shohra
jo mujh ko jaan se ai bedad-gar maara to kya maara
tiri duuri men be-tasir gar roe to kya roe
tiri furqat men naara be-asar maara to kya maara
kahin hota hai dil ka josh-e-sauda kam abas ragzan
ragon men meri tu ne neshtar maara to kya maara
‘nizam’ is nafs-e-ammara ki gardan bhi kabhi todi
javan-mardi ka dam tum ne agar maara to kya maara
Leave a Reply