tira visal hai behtar ki tera kho jaana
na jagna hi mayassar mujhe na so jaana
ye sab fareb hai main kya huun meri chahat kya
jo ho sake to miri tarah tu bhi ho jaana
hansi men zaḳhm chhupane ka fan bhi zinda hai
isi ḳhayal se sikha na main ne ro jaana
udaas shahr men zinda-dili ki qimat kya
baja hai meri hansi ka ghubar ho jaana
hasin tujh se ziyada bhi hain zamane men
bura hai aankh ka paband-e-rang ho jaana
Leave a Reply