tasavvur se nazare tak farogh-e-sehr-e-hairat hai
haqiqat bhi fasana hai fasana bhi haqiqat hai
kisi par jaan dena be-niyaz-e-mudd.a ho kar
yahi jazba mire nazdik me.araj-e-mohabbat hai
zaban par aa ke jo harf-o-hikayat se guzar jaa.e
na jaane kyuun vahi baat un se kahne ki zarurat hai
saval uThta nahin koi yahan hadd-e-ta.ayyun ka
vahan tak justuju bhi hai jahan tak husn-e-fitrat hai
jise aata nahin parvana-e-sham-e-vatan hona
vo nang-e-admi.yat hai adu-e-qaum-o-millat hai
ham apni zindagi ki har ḳhushi ko kyuun na gham samjhen
jo tere gham ka hasil hai usi ka naam rahat hai
mazaq-e-zindagi ko hai shu.ur-e-zindagi lazim
vahan jiine men rahat hai jahan marna sa.adat hai
hamare haal ki kya puchhte ho kya bata.en ham
hamara haal jo kuchh hai tumhari hi inayat hai
dil-e-sha.ista-e-gham ne laga rakkhi hai siine se
hazar un ki nazar gharat-gar-e-aram-o-rahat hai
‘rishi’ nakam sa.i-e-justuju hai zauq-e-nazzara
nazar avara fitrat hai jahan jalvon ki kasrat hai
Leave a Reply