tark shauq-e-sharab kya karte
zindagi ko ḳharab kya karte
jabr zauq-e-nazar pe karte rahe
husn ko be-hijab kya karte
jab thi badli hui nazar un ki
phir saval-o-javab kya karte
hai ba-har-shakl ek hi jalva
ham koi intiḳhab kya karte
gar basate na ja ke virana
aur ḳhana-ḳharab kya karte
baat ka ruḳh badal diya aḳhir
ham unhen la-javab kya karte
dil tha ehsas-mund pahlu men
husn se ijtinab kya karte
zehniyat apni jo badal na saken
‘ashk’ vo inqalab kya karte
Leave a Reply