agar raah men us ki rakha hai gaam
gae guzre khizar alaihis-salam
dahan yaar ka dekh chup lag gai
sukhan yaan hua khatm hasil-kalam
mujhe dekh munh par pareshan ki zulf
gharaz ye ki ja tu hui ab to shaam
sar-e-sham se rahti hain kahishen
hamen shauq us maah ka hai tamam
qayamat hi yaan chashm-o-dil se rahi
chale bas to vaan ja ke kariye qayam
na dekhe jahan koi ankhon ki aur
na leve koi jis jagah dil ka naam
jahan ‘mir’ zer-o-zabar ho gaya
khiraman hua tha vo mahshar-khiram
Leave a Reply