• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tark In dinon Jo Yar Se Guft-O-Shunid Hai

Tark In dinon Jo Yar Se Guft-O-Shunid Hai

miyan-dad-khan-sayyah

tark in dinon jo yaar se guft-o-shunid hai

ham ko moharram aur raqibon ko iid hai

shayad hamare qaul pe hablul-varid hai

ham se khuda qarib hai kaaba baiid hai

guzra mah-siyam na kyuun panja-e-sharab

khali ka chand ye nahin hai mah-e-id hai

shughl apna bada-khvari hai aur taak silsila

pir-e-mughan bhi ek hamara murid hai

dil le chuke hain jaan bhi ab mangte hain vo

baithe hain bigde aur taqaza shadid hai

chal khol qufl abla-e-pa ke ai junun

har ik zaban-e-khar bayaban kalid hai

vahshat men pairahan ki udiin dhajjiyan tamam

tan par qaba-e-dagh hai so nau-kharid hai

sunta huun roz-e-hashr na hogi use najat

jo sayyadon se bughz rakhe vo yazid hai

aisa maza bhara hai tabiat men faqr ka

ganj-e-shakar hai siina mira dil farid hai

‘sayyah’-e-be-nava huun jahan-gard hai laqab

gardish men charkh-e-pir bhi mera murid hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abdul-wahab-sukhan

Wo Ba-Rang-e-Etibar Aankhon Mein Hai

obaidullah-aleem

Main Ye Kis Ke Nam Likkhun Jo Alam Guzar Rahe Hain

Jis Taraf Jaun Udhar Aalam-E-Tanhai Hai

Muntashir Sayon Ka Hai Ya Aks-E-Be-Paikar Ka Hai

Dil Ki shaKHon Pe Umiden Kuchh Hari Bandhe Hue

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet