tark-e-jam-o-subu na kar paa.e
is liye ham vazu na kar paa.e
vaqt-e-aḳhir bhi hazrat-e-naseh
apna munh qibla-ru na kar paa.e
us ki rahmat ke sa.eban men tha
mera shak bhi adu na kar paa.e
maslahat ki khaḌi thi jo divar
duur us ko kabhu na kar paa.e
umr bhar dusron ki fikr rahi
apna daman rafu na kar paa.e
haa.e majburiyan ki us ke huzur
pesh apna lahu na kar paa.e
kar li kamre men ḳhud-kushi ‘ajiz’
us se jab guftugu na kar paa.e
Leave a Reply