tariq koi na aaya mujhe zamane ka
ki ek sauda raha jins-e-dil lutane ka
fareb-e-khvab mire raste ko rok nahin
ki vaqt-e-sham hai ye gham-kade ko jaane ka
tire vajud se pahchan mujh ko apni thi
tira yaqin tha mujh ko yaqin zamane ka
kharab-e-ishq huun khud maut huun main apne liye
sikha rahi huun hunar khud ko dil jalane ka
har ek shakh-e-sitam se main phuul todti huun
hua hai shauq chaman-zar-e-gham banane ka
nasha ajiib hai is jang-e-be-samar ka mujhe
khumar khuub hai khun-e-khirad bahane ka
shab-e-visal men ik nuqta-e-tavaqquf huun
aur ik junun hai use manzilon ko paane ka
dil-e-tabah ko be-dam bech deti huun
ki karobar hai ye jins-e-gham kamane ka
mujhe aziiz hai be-ehtiyati-e-sada
na shauq hai na hunar us ko azmane ka
qafas badan ka mujhe kuchh mira subut nahin
ye tair-e-dil-o-jan laut kar na aane ka
Leave a Reply