chin-o-arab hamara hindostan hamara
muslim hain ham vatan hai saara jahan hamara
tauhid ki amanat sinon men hai hamare
asan nahin mitana nam-o-nishan hamara
duniya ke but-kadon men pahla vo ghar khuda ka
ham is ke pasban hain vo pasban hamara
teghon ke saae men ham pal kar javan hue hain
khanjar hilal ka hai qaumi nishan hamara
maghrib ki vadiyon men gunji azaan hamari
thamta na tha kisi se sail-e-ravan hamara
batil se dabne vaale ai asman nahin ham
sau baar kar chuka hai tu imtihan hamara
ai gulistan-e-undulus vo din hain yaad tujh ko
tha teri daliyon men jab ashiyan hamara
ai mauj-e-dajla tu bhi pahchanti hai ham ko
ab tak hai tera dariya afsana-khvan hamara
ai arz-e-pak teri hurmat pe kat mare ham
hai khuun tiri ragon men ab tak ravan hamara
salar-e-karvan hai mir-e-hijaz apna
is naam se hai baaqi aram-e-jan hamara
‘iqbal’ ka tarana bang-e-dara hai goya
hota hai jada-paima phir karvan hamara
Leave a Reply