taqdir pe shakir rah kar bhi ye kaun kahe tadbir na kar
va bab-e-ijabat ho ki na ho zanjir hila taḳhir na kar
gham baḌhne de ai dil aur zara janch aah ki be-tasir na kar
hai ḳhvab adhura aap abhi be-samjhe ghalat ta.abir na kar
jab zulm ka badla zulm hua mazlum ka haq kuchh bhi na raha
de dard hi men lazzat yarab naale ko ata tasir na kar
ho laakh kaman kaḌi qatil kuchh jazb nishane men bhi hai
baazu ke bal pe nazar kar ke andaza-e-zaḳhm-e-tir na kar
ab tak jo nigahen sidhi hain mumkin hai kal ye palaT jaa.en
jo karna ho kare aise men kis soch men hai taḳhir na kar
paiman-e-mohabbat ḳhatm hua ab zikr se us ke fa.eda kya
munh bikhri kaḌiyon ke na mila tayyar na.i zanjir na kar
ulfat ke ahd-e-mohkam men buude kaghaz ki zamanat kya
ye dil se dil ki baten hain rakh yaad faqat tahrir na kar
har dil hai hayat ka sarmaya har dil men josh mohabbat ka
tu ‘arzu’ aur kahega kya bas rahne bhi de taqrir na kar
Leave a Reply