zindagani ka ye pahlu kuchh zarifana bhi hai
ya.ani us ki har haqiqat ek afsana bhi hai
tum jise jaisa bana dete ho ban jaata hai vo
fitratan har aadmi aaqil bhi divana bhi hai
ranj hi akasr hua karta hai rahat ka nishan
jis jagah tum daam dekhoge vahan daana bhi hai
va-e-qismat ik hamin mahrum is fan se rahe
apne matlab ke liye hushyar divana bhi hai
vaq.at-e-mai-ḳhana bhi apni jagah kuchh kam nahin
qabil-e-tazim go ka.aba bhi but-ḳhana bhi hai
dil ki fitrat ishq-o-ulfat hi main ai ‘sahir’ khuli
ye vo kafir hai ki apna ho ke begana bhi hai
Leave a Reply