kyuun dhundhti rahti huun use saare jahan men
vo shakhs ki rahta hai mire dil ke makan men
main vo nahin kahte hain jo kuchh aur karen aur
jo kuchh hai mire dil men vahi mere bayan men
ya-rab tiri rahmat jo kabhi josh men aae
main soch bhi paun na kabhi vahm-o-guman men
kya zikr ki is ziist men kuchh khoya ki paaya
ab kuchh bhi to rakkha nahin is suud o ziyan men
masruf huun itni ki tavajjoh nahin deti
deta hai sada koi mujhe qarya-e-jan men
vo sang kabhi mom ki surat bane ‘nusrat’
ab itna asar laun kahan apni zaban men
Leave a Reply