bhadka rahe hain aag lab-e-naghmagar se ham
khamosh kya rahenge zamane ke dar se ham
kuchh aur badh gae jo andhere to kya hua
mayus to nahin hain tulu-e-sahar se ham
le de ke apne paas faqat ik nazar to hai
kyuun dekhen zindagi ko kisi ki nazar se ham
maana ki is zamin ko na gulzar kar sake
kuchh khaar kam to kar gae guzre jidhar se ham
Leave a Reply