• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Main Samajhta Tha Haqiqat Aashna Ho Jaega

Main Samajhta Tha Haqiqat Aashna Ho Jaega

poet

main samajhta tha haqiqat ashna ho ja.ega

kya ḳhabar thi meri baton se ḳhafa ho ja.ega

rafta-rafta ibtila-e-gham shifa ho ja.ega

dard hi had se guzarne par dava ho ja.ega

ham pe to pahle hi zahir tha ma.al-e-bandagi

pujne jaoge jis but ko ḳhuda ho ja.ega

tajarbe ki aanch se aḳhir raqib-e-ru-siyah

un ki qurbat se hamara ham-nava ho ja.ega

aah jo siine se niklegi fughan ban ja.egi

ashk jo ankhon se Tapkega dua ban ja.ega

dam-ba-dam jo saath dene ka kiya karta tha ahd

kis ko tha ma.alum ki ik din juda ho ja.ega

chhoḌne vaale sar-e-rahe hamen tere liye

zindagani ka safar be-mudda.a ho ja.ega

ik nigah-e-lutf vo pahli si dildari ke saath

daan kar diije gharibon ka bhala ho ja.ega

sahal-tar hoga najat-e-ḳhalq men qarz-e-vafa

jaan bhi dega agar ‘aḳhtar’ ada ho ja.ega

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

nazeer-akbarabadi

Aan Rakhta Hai Ajab Yar Ka Lad Kar Chalna

Kya Bataun Mujhe Kya Yaad Hai Kya Yaad Nahin

sahir-ludhianvi

Jo Lutf-E-Mai-Kashi Hai Nigaron Mein Aaega

Sada Hai Garche Lauh-E-Basarat Bahaal Rakh

Andhere Mein Bala Si

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet