tanha.i ka ilaaj ye mahnga bahut paḌa
ukta ke main ne news ka channel lagaya tha
bas ye ki vaj.h-e-tark-e-ta.alluq hi kuchh rahe
us ne zara si baat pe jhagḌa khaḌa kiya
bigḌail ho chale the ka.i din se mere ḳhvab
sach ki chhaḌi se shaam unhen sidha kar diya
khola tha raat maazi ka ek album ki uf
yadon ka mere zehn men tanta bandha raha
vo baar baar puchh raha tha vahi saval
majbur ho ke jhuuT mujhe bolna paḌa
dariya ne mere paanv akhaḌe shurua men
jab main DaTa raha to vo kamzor paḌ gaya
tanha.i ka tumhari tha mumkin yahi ilaaj
ghar ke har ek kone ko chizon se bhar diya
Leave a Reply