tamam umr mayassar bas ek ḳhana hava
main apni zaat ke sanduq men purana hua
mahaz-e-vaqt se agle paḌav ki janib
main ruk gaya to koi dusra ravana hua
nazar uTha ke phalon ki taraf nahin dekha
shajar se Tek laga.e hue zamana hua
ye ka.enat bhi qad ki munasibat se thi
ki ik parind ko pata bhi shamiyana hua
‘nasim’ is se baḌa ranj aur kya hoga
vo mujh se puchh raha hai ki kaise aana hua
Leave a Reply