tamam shahar ko hairan karne vaala huun
main apni maut ka elaan karne vaala huun
main janta huun ki hai fa.eda unhen mujh se
vo sochte hain ki nuqsan karne vaala huun
irada kar liya ab tujh ko bhuul jaane ka
main ḳhud ko be-sar-o-saman karne vaala huun
saja raha huun vafaon se daman-e-qirtas
aur us ke pyaar ko unvan karne vaala huun
kisi safar men mujhe ham-safar bana ‘ejaz’
main teri raah ko asan karne vaala huun
Leave a Reply