tamam raat ansuon se gham ujalta raha
main gham ujaal ujaal kar ḳhushi men Dhalta raha
javan meri himmaten buland mere hausle
hisar toḌta raha kamand Dalta raha
bahut hi talḳh tajraba tumhari bazm men hua
har aadmi miri ana ke bal nikalta raha
hain iltava ki god ke palle sab us ke mas.ale
kisi ko hal nahin kiya hamesha Talta raha
tire ḳhilaf is liye miri zaban na khul saki
main apni ḳhamiyon pe bhi nigah Dalta raha
ḳhayal-e-yar teri nigahdasht is tarah hui
dimagh thak ke so gaya to dil sambhalta raha
‘hafiz’ kya suna.un apni ḳhvahishon ki dastan
pila pila ke duudh kitne saanp palta raha
Leave a Reply