• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tamam Galiyon Mein Matam Bapa Tha Jangal Ka

Tamam Galiyon Mein Matam Bapa Tha Jangal Ka

tamam galiyon men matam bapa tha jangal ka

yahan zarur koi silsila tha jangal ka

likhi thiin vahshaten sahra ki meri ankhon men

kitab-e-dil men varaq khul raha tha jangal ka

hamare shahron men ab roz hota rahta hai

vo vaqi.a jo kabhi vaqi.a tha jangal ka

vo is taraf ki pahaḌi pe miThe jharne the

pa darmiyan men rasta ghana tha jangal ka

mujh ek shahr men aisa bhi tha udaas koi

hamesha mujh se pata puchhta tha jangal ka

kisi ke saath ne insan bana diya hai ise

vagarna dil ye kabhi bheḌiya tha jangal ka

jahan pe ḳhatm thi insaniyat ki had ‘at.har’

vahan pe dekha to ik rasta tha jangal ka

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abu-mohammad-sahar

Ye To Nahin Ki Baadiya-Paima Na Aaega

Shikast-E-Rang-E-Tamanna Ko Arz-E-Haal Kahun

Ise Bhi chhoDun Use Bhi chhoDun Tumhein Sabhi Se Hi Masala Hai?

KHwahish-E-Wasl to Be-Kar Nahin Kar Sakta

khwaja-meer-dard

dil Mera Phir dukha diya Kin Ne

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet