
Akbar Hameedi
tamam alam-e-imkan mire guman men hai
vo tiir huun jo abhi vaqt ki kaman men hai
abhi vo sub.h nahin hai ki mera kashf khule
vo harf-e-sham huun jo ajnabi zaban men hai
in anganon men hain barson se ek se din raat
yahi ruka hua lamha har ik makan men hai
ye aks-e-ab hai ya is ka daman-e-rangin
ajiib tarah ki surḳhi si badban men hai
jahan dalil ko patthar se toḌna Thahre
vo shahr-e-sang-dilan saḳht imtihan men hai
mujhe adu ki baqa bhi aziiz hai ‘akbar’
ki ek phuul si divar darmiyan men hai

Leave a Reply