• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Talluqat Ke zaKHmon Ka Hun Sataya Hua

Talluqat Ke zaKHmon Ka Hun Sataya Hua

ta.alluqat ke zaḳhmon ka huun sataya hua

jo shaam aa.i mira saaya bhi paraya hua

miTega zehan se kab teri yaad ka afsun

hazar sadiyon se ye bojh hai uThaya hua

vo ek shaḳhs abhi dil men chhup ke baiTha hai

vo shaḳhs jo kabhi apna kabhi paraya hua

har ek lamhe ki aahaT pe dil larazta hai

zamane bhar ko ho jaise gale lagaya hua

na.i ruton ki hua ne ajiib sazish ki

ki mauj-e-ḳhun men hai har barg-e-gul nahaya hua

kisi ke saans ki avaz tak nahin aati

sukut-e-marg ne pahra hai vo biThaya hua

har ik nazar men koi ajnabi si aahaT hai

har ek dil men koi ḳhauf hai samaya hua

vo tirgi hai ki ankhon men ik kiran bhi nahin

vo ḳhamushi hai ki lamhon ne zahar khaya hua

main apne vaqt ke zindan ka ek qaidi huun

nazar nazar hai fasilon ne sar uThaya hua

gurez-pa hai vo umr-e-aziz ki manind

hai ek umr se apna jise banaya hua

na koi yaar na hamdam na koi hamrahi

tumhari zulf ka saaya to ḳhair saaya hua

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Nam Par Harf Na Aane Dije

Dahan-E-Mehman Mein kanTe

munawwar-rana

Mujhko Gahrai Mein Mitti Ki Utar Jaana Hai

sabiha-saba-1

Tu Nahin Hai To Meri Sham Akeli Chup Hai

agha-shayar-qazalbash

Jaan dete Hi Bani Ishq Ke diwane Se

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet