ta.alluq toḌ kar us ki gali se
kabhi main juḌ na paaya zindagi se
ḳhuda ka aadmi ko Dar kahan ab
vo ghabrata hai keval aadmi se
miri ye tishnagi shayad bujhegi
kisi meri hi jaisi tishnagi se
bahut chubhta hai ye meri ana ko
tumhara baat karna har kisi se
ḳhasare ko ḳhasare se bharunga
nikalunga ujala tirgi se
tumhen ai dosto main janta huun
sukun milta hai meri bekali se
havaon men kahan ye dam tha ‘faisal’
diya mera bujha hai buzdili se
Leave a Reply