talib ho vahan aan ke kya koi sanam ka
ho jis ko bharosa na jahan ek bhi dam ka
kya main tujhe ahval dil-o-jan ka bataun
ab main to irada kiye baitha huun adam ka
ki lakhon hain tadbir miyan ham ne vo lekin
chhuta na ye dil bandha hua zulf ke kham ka
ya vasl ho ya maut koi tarah to hove
kab tak rahun pamal main is dard-o-alam ka
jalne na diya atish-e-gham se jigar-o-dil
kya kya kahun ehsan main is dida-e-nam ka
aaya jo nasha mai ka to shab aankh men us ki
sau rang se bad-masti ka rang aan ke chamka
vasl us ka mayassar nahin sach kahta hai ‘asif’
kyuun apne taiin rakhta hai masruf tu gham ka
Leave a Reply