• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Tajdid-E-Ahd Kar Kisi Simin Badan Ke Sath

Tajdid-E-Ahd Kar Kisi Simin Badan Ke Sath

tajdid-e-ahd kar kisi simin badan ke saath

ya.ani luTa shabab sharab-e-kuhan ke saath

vabasta-e-bahar ho ḳhud misl-e-rang-o-bu

yuun zindagi guzar kisi gul-e-badan ke saath

haan ai mughanniya koi maddham sa raag chheḌ

ya.ani mila rabab dil-e-pur-mehan ke saath

saaqi pila sharab zakat-e-shabab de

haan phir koi mazaq dil-e-pur-mehan ke saath

dil chahta hai phir koi bahka hua sa tiir

phir khinch le kaman usi bankpan ke saath

zahid ye talḳh guftugu ye sun hazar haif

zalim guzar di kisi shirin-dahan ke saath

turfa sitam hain charḳh ki ye azma.ishen

vo bhi sharik-e-gham hain dil-e-pur-mehan ke saath

mahrum-e-iltifat nahin chheḌ hai murad

dil ko bhi laag hai nigah-e-pur-fatan ke saath

‘talib’ mujhi se puchhna ‘talib’ tu kaun hai

hans dena phir kisi ka ajab bhole-pan ke saath

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

La-Makan-O-Makan Bolta Hai

Phir Dil Ko Roz O Shab Ki Wahi Id Chahiye

Saya Mera Saya Wo

ahmad-faraz

Guftugu Achchhi Lagi Zauq-E-Nazar Achchha Laga

poet

Humne Dekhi Wafa Sahaaron Ki

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet