tah men har paikar ki ik paikar ubharta hai tira
kaun iz.har-e-musalsal rok sakta hai tira
qatl ho jaata hai jab suraj dilon ke dasht men
gahri zulmat men ma.an sho.ala lapakta hai tira
naqsh ubharte hain tiri ḳhushbu ke sat.h-e-ḳhak par
be-sada gumbad men bhi taa.ir chahakta hai tira
saghar-e-gul se hazaron rang uchhalte hain tire
ism-e-azam sabz lauhon par chamakta hai tira
taza-dam hai kitni sadiyon ka safar karne ke ba.ad
qafila kab duri-e-manzil se thakta hai tira
lahlahata hai dil-e-ishrat men roz o shab vo naḳhl
jis ke barg o shaḳh men mausam mahakta hai tira
Leave a Reply