tabiat in dinon auham ki un manzilon par hai
dil-e-kam-hausla kaghaz ki giili kashtiyon par hai
guzashta mausamon men bujh gae hain rang phulon ke
daricha ab bhi mera raushni ke zaviyon par hai
hazaron abnusi jangalon ka husn kya maani
hamen jab saans lena kimiyai tajrabon par hai
kada hai meri ajrak par balochi kaam shishe ka
kisi ke aks ki qaus-e-quzah sab ainon par hai
mire angan men ik nannhi gilahri ka basera hai
bahut maasum sa ik naqsh meri kyariyon par hai
main us par apne andar ki humaira vaar aati huun
magar vo be-yaqini men abhi pahli hadon par hai
Leave a Reply