tabassum lab par ankhon men nami hai
ḳhuda jaane ye gham hai ya ḳhushi hai
jo manzil aaj ahl-e-hosh ki hai
vo divanon ki Thukra.i hui hai
kahan jaa.e thaka-manda musafir
tu hi saaya tu hi divar bhi hai
hazaron hain sukun-e-dil ke saman
ye duniya phir bhi ghabra.i hui hai
andhere chhu nahin sakte hain mujh ko
ki mere saath teri raushni hai
zaban kah de to ik hangama ho jaa.e
nazar ma.alum kya kya dekhti hai
na jaane kab tira daman chhua tha
magar hathon men ab tak tharthari hai
vo begana hai utna zindagi se
jaise jitna shu.ur zindagi hai
jafaon ne hazaron rang badle
vafa apni jagah par aaj bhi hai
chalo ai zimma-daran-e-mohabbat
faraz-e-dar par phir raushni hai
mire simTe hue daman ko ‘sharib’
baḌi hairat se duniya dekhti hai
Leave a Reply