• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ta-Sahar Ki Hai Fughan Jaan Ke Ghafil Mujhko

Ta-Sahar Ki Hai Fughan Jaan Ke Ghafil Mujhko

taashshuq-lakhnavi

ta-sahar ki hai fughan jaan ke ghafil mujh ko

raat bhar aaj pukara hai mira dil mujh ko

dard-o-gham se jo tapan tha vo mila dil mujh ko

is liye dafn kiya hai lab-e-sahil mujh ko

bar-e-husn aap se laila ka uthaya na gaya

na liya qais ne jis ko vo mila dil mujh ko

ghair phir ghair hain akhir hain phir apne apne

yaad karta hai tire paas mira dil mujh ko

bar-e-khatir hi agar hai to inayat kiije

aap ko husn mubarak ho mira dil mujh ko

fasl-e-gul aate hi sahra-e-adam ko pahuncha

rokte rah gae aghlal-o-salasil mujh ko

mar gaya ashk jo ankhon se bahe aah ke saath

aa gai niind hava men lab-e-sahil mujh ko

kya adavat hai ki jis din se hua huun zakhmi

dekh jaata hai vo rashk-e-mah-e-kamil mujh ko

shab ko tum soi thi kya su-e-falak munh kar ke

nazar aaya na sahar tak mah-e-kamil mujh ko

paanv tak zulf tiri yaar badh aai shayad

aaj bhari nazar aati hai salasil mujh ko

asar-e-zoaf se huun qatra-e-ashk-e-khuni

rahm kar de kafan-e-daman-e-qatil mujh ko

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Koi Ajdad Ke KHazane The

Haal-E-Dil Kuchh Jo Sar-E-Bazm Kaha Hai Maine

Ameer Khasro

Bahut Rahi Babul Ghar dulhan

allama-iqbal

Hua Na Zor Se Uske Koi Gareban Chaak

Koshish to Hai Ki Zabt Ko Ruswa Karun Nahin

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet