suna.en ham koi qissa hamari dastan ka
mujhe qissa nahin banna tumhari dastan ka
mahz do naam hon us se ziyada kuchh nahin ho
mohabbat naam rakkhen ham hamari dastan ka
zamane ko laga ki ḳhatm qissa ho gaya hai
magar ik marhala tha vo bhi apni dastan ka
qabile se jharoka dekhna mumkin nahin tha
naya mauzua mila hai ik purani dastan ka
sarasar vo hi likhna jo jiya hai saath ham ne
badalne se badal jaa.e na ma.ani dastan ka
Leave a Reply