suna.e sach koi to saans bhi ahista leta huun
kahin mujh par zara bhi shak hua to maara ja.unga
kisi se koi ab kyon mere marne ka sabab puchhe
ye jab tai tha ki main ne sach kaha to maara ja.unga
uTha ke main qadam bachta bhi kaise janta tha main
mire haq men mira lab bhi hila to maara ja.unga
sab aa ke laash par meri ab aansu kyon bahate ho
kaha to tha ki main haq par raha to maara ja.unga
yahan azad to hain sab na jaane kyon mujhe Dar hai
ki azadi samajh kar main jiya to maara ja.unga
piye jaate hain vaan hasrat lahu insan hi insan ka
main bhule se bhi us janib gaya to maara ja.unga
Leave a Reply