suna ki ḳhuub hai us ke dayar ka mausam
dilon pe chhane laga phir ḳhumar ka mausam
kabhi kabhi to badan ko pata nahin chalta
ki bagh-e-ruh men kab aaya pyaar ka mausam
main us gulab ko naraz kar nahin sakta
bhale hi ruuTh ke jaa.e bahar ka mausam
ye ḳhauf dil men ubharta hai dard ki surat
badal na jaa.e kahin e’tibar ka mausam
main ḳhud bhi milne ko bechain huun ye jab se suna
miri talash men hai intizar ka mausam
tamam ab-o-hava men gulal bikhra hai
ki rang laaya hai us ke nikhar ka mausam
khile hue hain umidon ke phuul dil men magar
guzar na jaa.e kahin intizar ka mausam
baḌe maze se abhi tak guzar rahe hain din
isi tarah rahe qaa.em ḳhumar ka mausam
yahan kabhi bhi ḳhizan ka guzar nahin hoga
yahan hamesha rahega bahar ka mausam
sukun-e-qalb mayassar ho ḳhvab puure hon
kabhi to aa.e dil-e-be-qarar ka mausam
kisi tarah bhi na inkar ki hai gunja.ish
ki hai uruuj pe qaul-o-qarar ka mausam
vo achchhe-achchhon ko ḳhatir main ab na laata hai
ki in dinon to hai us ke nikhar ka mausam
Leave a Reply