hava se dast-o-gareban hua to bhed khula
main ḳhud diye ki jagah par jala to bhed khula
ham apne naqsh bhi kho baiThe us hasin ke liye
hamare haath laga a.ina to bhed khula
mujhe ḳhabar hi na thi gham bhi hain zamane men
jab asman mire sar par gira to bhed khula
main chiḳhta hi raha be-asar sada.en diin
kisi taraf na mila jab ḳhuda to bhed khula
kisi ne haath baḌhaya na koi paas aaya
rah-e-vafa pe main thak kar gira to bhed khula
ye hadse mujhe patthar samajh rahe the ‘adil’
phir ek roz main jab ro paḌa to bhed khula
Leave a Reply