suna kar haal qismat aazma kar lauT aa.e hain
unhen kuchh aur begana bana kar lauT aa.e hain
phir ik TuuTa hua rishta phir ik ujḌi hui duniya
phir ik dilchasp afsana suna kar lauT aa.e hain
fareb-e-arzu ab to na de ai marg-e-mayusi
ham ummidon ki ik duniya luTa kar lauT aa.e hain
ḳhuda shahid hai ab to un sa bhi koi nahin milta
ba-zom-e-ḳhvesh un ko aazma kar lauT aa.e hain
bichhe jaate hain ya rab kyuun kisi kafir ke qadmon men
vo sajde jo dar-e-ka.aba pe ja kar lauT aa.e hain
Leave a Reply