suna hai kuuch to un ka par is ko kya kahiye
zaban-e-khalq ko naqqara-e-khuda kahiye
misi laga ke siyahi se kyuun darate ho
andheri raton ka ham se to majra kahiye
hazar raten bhi guzrin yahi kahani ho
tamam kijiye is ko na kuchh siva kahiye
hua hai ishq men khasan-e-haq ka rang safed
ye qatl-e-am nahin shokhi-e-hina kahiye
turab-e-pa-e-hasinan-e-lakhnau hai ye
ye khaksar hai ‘akhtar’ ko naqsh-e-pa kahiye
Leave a Reply