sun le ye iltimas mira dostana hai
hushiyar ho ki tir-e-ajal ka nishana hai
kab tak rahegi masnad-e-kam-khvab zer-e-pa
kaahe khamida yaar tira shamiyana hai
duniya ke makhmase hain ye farzand-o-aqraba
begana sab se ho ki ajal ka yagana hai
ai andalib-e-jan-e-chaman jism par na phuul
virana ek rose tira ashiyana hai
anfas-e-mustaar pe kya eatibar-e-zist
ik dam men misl-e-mauj-e-saba to ravana hai
ye jalva-e-ha-e-bu-qalmun be-sabat hain
hai zindagi tilism-e-jahan ik fasana hai
rukti nahin hai baag kisi shahsavar se
har-dam samand-e-umr ko ik taziyana hai
kya sar-kashan-e-dahar ke qisse nahin sune
kya ho gae vo log kahan vo zamana hai
kahna tha jo ‘nasim’ tujhe sab suna chuke
nazdik ikhtitam tira karkhana hai
Leave a Reply