sun kar main jurm chup tha gunahgar ki tarah
luknat zaban men aa ga.i mai-ḳhvar ki tarah
vo kaisi sub.h thi ki tulu-e-sahar ke baad
suraj ka chehra lagta tha bimar ki tarah
haan us ki dastan bahut dil-ḳharash thi
ḳhamosh tha jo saya-e-divar ki tarah
rukne ka naam bhi nahin lete the vo kabhi
ahl-e-junun the vaqt ki raftar ki tarah
maqtal se tegh dar-o-rasan se salib se
mujh ko hai pyaar kucha-e-dildar ki tarah
ham tira-baḳht aap hi kahiye kahan se laa.en
shaukat jalal shaan vo sarkar ki tarah
uupar se dekhne men hain manind-e-koh ham
andar se ek ret ki divar ki tarah
ai rabb-e-zul-jalal amaan pa.un to kahun
ye umr kaT ga.i kisi nadar ki tarah
Leave a Reply