• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / suKHan Ki Dilkashi Soz-E-Dili Lagti Nahin Mujhko

suKHan Ki Dilkashi Soz-E-Dili Lagti Nahin Mujhko

suḳhan ki dilkashi soz-e-dili lagti nahin mujh ko

ye laffazi to ji ki bekali lagti nahin mujh ko

ye sach hai quvvat-e-tasḳhir hoti hai mohabbat men

zafar-yabi magar harf-e-jali lagti nahin mujh ko

kisi shai ki kami lagti hai in afsurda rahon men

usi ka shahr lekin vo gali lagti nahin mujh ko

ḳhizan-baḳhti men kab shaḳh-e-chaman par phuul khilte hain

hansi ahbab ki zinda-dili lagti nahin mujh ko

ba-zahir bagh-o-bazar-o-makan sab lahlahate hain

ye hariyali magar phuli-phali lagti nahin mujh ko

kisi ab-e-ravan par ḳhubsurat naav kaghaz ki

vahi duniya hai lekin kyuun bhali lagti nahin mujh ko

mulamma.a-kariyan ashiya men bhi insan men bhi hain

zamin fitrat ke sanche men Dhali lagti nahin mujh ko

qalandar ḳhanqah-o-madrasa men mast hai lekin

ye masti faqr-e-bu-bakar-o-ali lagti nahin mujh ko

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Zindagi Sach Ki Himayat Nahin Karne Deti

salma-shaheen-1

Ai Jaan-E-Jaan Tere Mizaj Ka Falak Bhi Khub Hai

poet

Hawa Mein Zor Udhar Sud-O-Ziyan Ka

Rakkhe Har Ek Qadam Pe Jo Mushkil Ki Aagahi

Un Aankhon Ka Mujhse Koi Wada to Nahin Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet