suukh jaata hai har shajar mujh men
kuchh dua.en hain be-asar mujh men
janta hi nahin huun main us ko
vo jo aane laga nazar mujh men
dhuup men dekh kar parindon ko
ugne lagta hai ik shajar mujh men
paanv ab puchhne lage mujh se
main safar men huun ya safar mujh men
aa.ina dekh kar laga mujh ko
main nazar men huun ya nazar mujh men
dard men Duub hi ga.i avaz
hijr ne ab kiya asar mujh men
Leave a Reply