sub.h talak aflak pe ik kaifiyyat taari karta huun
chand ko apni nazm suna kar shab-bedari karta huun
chaukidar huun lekin mera lamba-chauḌa kaam nahin
ek hi phuul hai baagh men jis ki pahre-dari karta huun
ghar se nikal aata huun aksar subah ke taḌke vahshat men
jhiil men patthar phenk ke din-bhar vaqt-guzari karta huun
raat guzar jaati hai meri hijr ka dukh nimTane men
zaḳhm-shumari ho jaa.e to najm-shumari karta huun
ḳhuun se khinch ke ashk ko apne laata huun in ankhon tak
kitni mushkil se main ḳhud par riqqat taari karta huun
tum ko samajh men aa jaa.e to samjho sher mukammal hai
TuTe-phuTe lafzon men bas baat tumhari karta huun
lafzon ko tartib men rakh kar paḌhta huun har mahfil men
lahje ki imdad se main avaz ko bhari karta huun
roz birajna hota hai ik naya singhasan mujh ko ‘zeb’
roz ke roz isi dhara ke sikke jaari karta huun
Leave a Reply