sub.h-e-vajud huun ki shab-e-intizar huun
main ashkar huun ki pas-e-ashkar huun
har rang-e-be-qarar huun har naqsh-e-na-tamam
mitti ka dard huun ki sitaron ka pyaar huun
kuchh to mire vajud ka hissa hai tere paas
varna main apne aap men kyuun intizar huun
ik aur asman chamakta hai khvab men
ik aur kaenat ka aina-dar huun
tu ne mujhe khayal kiya tha isi tarah
gard-o-ghubar men bhi sitara-shiar huun
jaari ho be-mahar taalluq ki salsabil
ik aisi barshgal ka ummid-var huun
kaise khada huun kis ke sahare khada huun main
apna yaqin huun ki tira e’tibar huun
ik baar apne ghar se nikala gaya tha main
phir is ke baad gardish-e-lail-o-nahar huun
bas kuchh dinon ki aur saubat hai dhuup ki
sahra-e-jism paar koi barg-zar huun
tere jamal se miri aankhon men nuur hai
tera khayal hai to main bagh-o-bahar huun
sanson ke darmiyan sulagte hain bal-o-par
phir bhi kisi udaan ka ummid-var huun
‘ahmad’ kisi zaman-o-makan ka nahin huun main
lamhon ki der hai jo sar-e-abshar huun
Leave a Reply