sub.h-e-firaq al-aman vasl ki shaam al-aman
ajiib hai bisat-e-ishq ajab nizam al-aman
the kabhi jo surkh-ru vo to ham nahin rahe
tum to ho chunin-chunan tumhara naam al-aman
guzar gai ye zindagi qadam qadam ghasit ke
maut bhi aa rahi hai kya gam-ba-gam al-aman
phir raha tha ja-ba-ja faqir rizq ke liye
akhir use ghiza mili vo bhi haram al-aman
saari talash hai abas saari talab hai raegan
kar-e-fuzul ishq men sab kuchh tamam al-aman
harf-e-kalam se pare harf-e-sukut ka jahan
koi nahin pahunch saka naqsh-e-davam al-aman
khulta nahin ‘hamesh’ par uqda-e-fareb kyuun
kis ne bichhae hain yahan dana-o-dam al-aman
Leave a Reply