Soz-E-Gham Bhi Nahin Fughan Bhi Nahin

soz-e-ġham bhī nahīñ fuġhāñ bhī nahīñ

jal bujhī aag ab dhuāñ bhī nahīñ

tū ba-zāhir vo mehrbāñ bhī nahīñ

mannateñ merī rā.egāñ bhī nahīñ

jaane kyuuñ tum se kuchh nahīñ kahte

varna ham itne be-zabāñ bhī nahīñ

vo nigāheñ ki be-niyāz bhī haiñ

aur un se kahīñ amaañ bhī nahīñ

dīda-o-dil haiñ kab se chashm-ba-rāh

koī uftād-e-nā-gahāñ bhī nahīñ

ai ḳhushā kārobār-e-shauq ‘surūr’

naf.a kuchh ho na ho ziyāñ bhī nahīñ

Leave a Comment