rizq ki justuju men kise thi ḳhabar tu bhi ho ja.ega ra.egan ya aḳhi
teri asuda-hali ki ummid par kar ga.e ham to apna ziyan ya aḳhi
jab na tha ye bayaban-e-divar-o-dar jab na thi ye siyahi bhari rahguzar
kaise karte the ham guftugu raat bhar kaise sunta tha ye asman ya aḳhi
jab ye ḳhvahish ka amboh-e-vahshat na tha shahr itna tahi-dast-e-fursat na tha
kitne abad rahte the ahl-e-hunar har nazar thi yahan mehrban ya aḳhi
ye giroh-e-asiran-e-kizb-o-riya bandagan-e-diram bandagan-e-ana
ham faqat ahl-e-dil ye faqat ahl-e-zar umr kaise kaTegi yahan ya aḳhi
ḳhud-kalami ka ye silsila ḳhatm kar gosh-o-avaz ka fasla ḳhatm kar
ik ḳhamoshi hai phaili hui sar-basar kuchh suḳhan chahiye darmiyan ya aḳhi
jism ki ḳhvahish se nikal kar chalen zaviya justuju ka badal kar chalen
DhunDne agahi ki koi rahguzar ruuh ke vaste sa.eban ya aḳhi
haan kaha tha ye ham ne bichhaḌte hue lauT a.enge ham umr Dhalte hue
ham ne socha bhi tha vapsi ka magar phir ye socha ki tu ab kahan ya aḳhi
ḳhud-shanasi ke lamhe baham kab hue ham jo the dar-haqiqat vo ham kab hue
tera ehsan ho tu bata de agar kuchh hamen bhi hamara nishan ya aḳhi
qissa-e-ranj-o-hasrat nahin muḳhtasar tujh ko kya kya bata.egi ye chashm-e-tar
atish-e-gham men jalte hain qalb-o-jigar aankh tak aa raha hai dhuan ya aḳhi
tu hamen dekh aa kar sar-e-anjuman yuun samajh le ki hain jan-e-bazm-e-shuḳhan
ik to rudad dilchasp hai is qadar aur us par hamara bayan ya aḳhi
umr ke baab men ab ri.ayat kahan samt tabdil karne ki mohlat kahan
dekh bad-e-fana khaTkhaTati hai dar ḳhatm hone ko hai dastan ya aḳhi
ho chuka sab jo hona tha sud-o-ziyan ab jo sochen to kya rah gaya hai yahan
aur kuchh fasle ka ye raḳht-e-safar aur kuchh roz ka naqd-e-jan ya aḳhi
Leave a Reply