har shaḳhs ko aise dekhta huun
jaise kahin duur ja raha huun
dekhi hi nahin ḳhizan ki surat
kis gulshan-e-shauq ki hava huun
ḳhud apni nigah se huun ru-posh
aa.ina huun jahan-numa huun
be-nur hui hain jab se ankhen
aa.ine talash kar raha huun
na-qadr-shanas jauhari ko
rahon men paḌa hua mila huun
jab raat ki zulf bhigti hai
sannaTe ki tarah gunjta huun
is daur-e-ḳhizan-nasib men bhi
kaliyan si khila khila gaya huun
ankhon men vahshaten rachi hain
ḳhvabon men bhi ḳhaak chhanta huun
hai chehra jo daagh daagh apna
har aa.ine se ḳhafa ḳhafa huun
talvar pe raqs ka natija
jab paanv kaTe to sochta huun
parda-e-saba na ḳhauf-e-sarsar
ḳhakistar-e-yas par khila huun
Leave a Reply